Nayi tarha se nibhanay ki dill ne thani hai
Warna uss Se muhabbat bohat purani hai
Khuda wo din na dikhaye k mein kisi se sunooN
Ke tune bhi gham-e-dunia Se haar mani hai
Zameen pe reh ke sitare shikaar krtay Hain
Mizaaaj ehl-e-muhabbat ka aaasmani hai…
Hamein aziz ho kyon kar na sham-e-gham k yahi
Bicharnay walay ‘ teri akhri nishaani hai
Utar pare ho to dariyaa Se puchna kaisa
K saaahlioon Se udhar kitna tez pani hai
Bohat dinoon me teri yaad aourdh kr utri
Yeh shaam kitni sunehri hai kia suhaani hai
Main kitni dair use sochta rahon
Ke jaise uss ka badan bhi koi kahani hai…….
Prince : +918950008824, +919354518410
pawan.goyat@gmail.com
![](http://lh3.ggpht.com/-GDs9jqI94Hg/TjDwRcTpbYI/AAAAAAAAAGM/mdq7i-DBiug/bloggerPlus.jpg)
No comments:
Post a Comment