Thursday, July 28, 2011

Mudatein howe aik shamma yaha jala karti thee..


Kabhie subha say kabhie sehar say larra karti thee
Mudatein howe aik shamma yaha jala karti thee

Kya baat howe kay aaj sar-e-sham band ho gayee
Aik khirrkee jo kabhi autak-e-sehar khula karti thee

Simhata hai dil kiyoun ab ki barr iss toofan main
Garajtay thay badal, bijli pehlay bhie girra karti thee

Kuch kasoor-e-kismat-e-amaan ka hai warna
Naumeedi iss dil say dur hie raha karti thee

Khata meri hie thee jo duniya say dil laga baitha
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi say wafa karti thee

Main kaash yeh keh sakta ,”Mujhe Yaad Kijiye”
Kabhi meri yaad jinn ki dharkan howa karti thee

Dekho aaj hum unn ki duniya mai shamil hie nahin
Jinn ki duniya kabhi Roshan Hum Say Howa karti thee ……

PrÎñÇë : +918950008924, +919354518410
pawan.goyat@gmail.com

No comments:

Post a Comment